holy Veda me Tawheed (Ekeshwarwaad)
1. Sirf ek Ishwar hai usi ki ibadat (upasna) karo.
-Rigveda 6:45:16
2. Woh (Ishwar) ek hai uska koi sajhi nhi hai.
-Chandogya Upanishad 6:2:1
3.Jo Asambhuti arthaat prakirti roop se jad padharth (Agni, Mitti, Waayu aadi) ki upasna karte hai, veh agyaanke andhkaar me privisht hote hai aur jo ‘Sambhuti’ arthaat in prakirti padharthoke parinaamswaroop srishti (Pedh, Podhe, Murtiyaa aadi) me raman karte hai veh ussebhi adhik andhkaar me padhte hai.
-Yajurveda 40:9
4. Gyani log ek Ishwar ko alagalag namo se pukarte hai.
-Rigveda 1:164:46
5. Uski koi pratima nahi hai uska naam hi atyant mahan hai sabse bada yash yahi hai.
-Yajurveda 32:3
6. Woh ek hai lekin budhimanlog use vibhin namo se pukarte hai jaise Indra, Mitr, Varun, Agni, Divya, Prakashpunj, Suparna (sansar ki suraksha aur iski dekhbhal karne wala) ityadi uska karye bilkul thik thik hota hai.
-Rigveda 1:22:164
7. Mere param bhaav ko na janne wale murkh log mujh sampoorn bhooto ke mahan Ishwar ko shareerdhari samajh kar mera apman karte hai .
-Gita 13:10
8. Woh shareer vihin (bodyless) aur paak hai.
-Yajurveda 40:8
9. Uske siva kisi ki upasna na karo wohi khuda hai usi ki tareef karo.
-Rigveda 8:1:1
10. Mitti paththar aadi ki Murtiyaa dev nahi hoti hai.
-Srimad Bhagwat Mahapuran10:84:11
11. Uske atirikt kisi anye ki upasna na karo.
-Rigved 6:45:16
12. Sirf who ek hi swayam se (Bina kisi ke janm diye) Akelavidhmaan hai.
-Artharvved 13:4:12
13. ek Ishwar hi puja ke yogye aur sabhi pijatiyo me stuti ke yogye hai.
- Artharvved 2:2:1
Comments